Monday, July 23, 2007

Humsafar



Hum jo chale tum bhi chalo saath
Phir kya khabar ke din hain ke raat

Bas mein nahin rahenge jazbaat
Tum jo sanam humaare chalo saath
Hum jo chale...

Sur se saji geethon si teri yaad
Tujh bin sanam bhaaye na koi baat
Kaise kaho akele chaloon aaj
Tum aao sanam soone hain dil ke saaz

Kaisi bhi raahen ho kaisi dagar ho
Koi bhi rasta ho koi safar ho
Chalte rahen hum jo duur humsafar ho
Hum jo chale...

Din yeh kahe baitho humaare paas
Aao idhar ishaara kare raat
Hum ko magar chaahiye wohi shaam
Jis par sanam likha ho tera naam

Chandni raatein ya ghirti seher ho
Chahe din ka wo koi pehar ho
Chalte rahen hum jo duur hamsafar ho

Hum jo chale tum bhi chalo saath
Phir kya khabar ke din hain ke raat

Bas mein nahin rahenge jazbaat
Tum jo sanam...

Galiyon mein phirta hai banjara dil ye
Tujh ko hi dhoondega awaara dil yeh
Karta hai jaane ishaara kya dil yeh

Hum jo chale to tum bhi chalo saath...



Listen to the song here.

Singer: Mohit Chauhan
Lyrics: Prasoon Joshi

No comments:

Categories

Blog Archive

Creative Commons License
This work is licensed under a Creative Commons Attribution-NonCommercial-NoDerivs 2.5 License.